Sunday, January 5, 2014

Song - On jai jagadeesh hare - Mahendra Kapoor

Om Jai Jagadish Hare, Swami Jaya Jagadish Hare
Bhakta janon ke sankat, Kshan me door kare
(daas jano ke sankat)

Jo dhyave phal pave, Dhukh vinashe man ka
Sukha sampati Ghar aave, Kashht mite tan ka

Mata pita tum mere, Sharan gahun mai kis ki
Tum bina aur na doojaa, Asha karun jis ki

Tum pooran Paramatma, Tum Antaryaami
Para brahma Parameshwara, Tum sab ke Swami

Tum karuna ke saagar, Tum palan karta
Mein Moorakh Khal kaami, Kripa karo bhartaa
(Mai sevak tum swami)

Tum ho ek agochar, Sab ke prana pati
Kis vidhi miloon dayamaya, Tum ko mai kumati

Deena bandhu dukh hartaa, Tum rakshak mere
Apane hath uthao, Dwar khada mai tere

Vishaya vikar mithao, Paap haro deva
Shraddha bhakti badhao, Santan ki seva

Tan man dhan sab hai tera, Swami sab kuch hai tera
Tera tujh ko arpan, Kya laage mera

No comments:

Post a Comment