Sunday, January 5, 2014

Song - Dukh haro dwarika naath sharan main tero - Mukesh

kahan chupe bhagwan karo mat deri,
dukh haro dwarikanath naaath sharan mai teri.

dukh haro dwarikanath sharan mai teri-2


yahi suna hai deen bandhu tum, sabka dukh har lete
jo nirash hain, unki jholi ,aasha se bhardete .

Agar sudama hota mai tow daur dwarika aata
paawn ansuo se dhokar mai man ki aag bujata
tum bano nahi anjan suno bhagwan karo mat deri

dukh haro dwarikanath sharan mai teri-2

jo bhi sharan tumhari aata usko dheer bandhate
nahi doobne datae data naiya paar lagate
tum na sunoge to kisko mai apni vyatha sunaoon
dwar tumhara chodke bhagwan aur kahan mai jaaun
prabhu kabse raha pukar mai tere dwar karo mat deri

dukh haro dwarikanath sharan mai teri-2
dukh haro dwarikanath sharan mai teri-2

No comments:

Post a Comment